Thursday, December 9, 2010

Qitta

Wo Zindagi Ki Thakawat Utaar Deta Hai,
Milaye Ankh Tu Duniya Sanwar Deta Hai,

Juda Huwa Tu Kaha Us Nay Inksaari Say,
Tamaam Umer Bhala Kon Pyar Deta Hai.

Aik Shair

Mere Jism Say Us Ki Khushbo Aaj Bhi aati Hai,
Us Nay Fursat Main Kabhi Dil Say Lagaya Tha Mujhe.

Aik Shair

Dil Tujhe ROOH Say Panay Ka TALABGAAR Hai Warna,
Jism BIKTAY Hain Tere Sath Ke Kuch DAMOON Main.

Aik Shair

Us Ko Ya Shoq K MOHABBAT Ki BHEEK Main Mango,
Aur Mujhe Ya ZIDD Hai K TAKAZA Mera USOOL Nahi.

Aik Shair

Dhundhla Rahay Hain Shehar Ke Jaltay Huwe Chiragh,
Aye Neend Aa Bhi Ja Ke Buhat Raat Ho Chuki.

Aik Shair

Bhula Dia To Bhulanay Ki Intiha Kar Di
Ab Woh Shakhs Mere Wehm-o-Guman Se Bhi Gaya.

Aik Shair

Teri Pal Bhar Ki Judayi Mujhe Jeenay Nahi Deti
Tere Bin Jo Main Mar Jaon To Mujhe Maf Kar Dena.

Aik Shair

Lafzon Ki Tamheed Mujhe Bandhni Nahi Aati
Ham Tum Ko Yaad Kartay Hain Sidhi Si Bat Hai.

Aik Shair

Wo Mil Jaye Mujhe Tu Youn Samjhon Ga Sagar,
Elaan-E-Jannat Ho Jaise Kisi Guanhgar K Liye.

Samandar Ki Rait

Mere Bicharnay K Bad
Ya Samandar Ki Rait Bhi Tum Say Pocha Kare Gi,

Kanha Chala Gaya Wo Shakhs Jo Tanhai Main,
Mujh Per,
Bus Tumhara He Naam Likha Karta Tha.

Kuch Bhi Nahi

Mujh Ko Taqdeer K Hathon Say Mila Kuch Bhi Nahi,
Aur Taqdeer Nay Mujh Ko Diya Kuch Bhi Nahi,

Hath Thamo Tu Sitaron Ko Jhuka Saktay Hain,
Warna Hathon Main Lakeeron K Siwa Kuch Bhi Nahi,

Is Ka Matlab Hai K Majbor Buhat Hai Wo Bhi,
Khali Kaghaz Mujhe Aya Hai Likha Kuch Bhi Nahi,

Apnay Her Ashk Main tum Mujh Ko Munakkas Kar K,
Ya Samjhtay Ho K Duniya Ko Pata Kuch Bhi Nahi,

Teri Yaadon K Saharay Hain Zinda Warna,
Jeevan Main Aur Is Dil Main Bacha Kuch Bhi Nahi.

Gazal

Ek Baar Meri Simt Nazar Kar Dena,
Phir Chahe Mujhe Mulk Badar Kar Dena,

Bin Tere Dikhai Na De Kuch Bhi Mujh Ko,
Aisa Meri Ankhon Pe Asar Kar Dena,

Behtar Nahi Koi Bhi Ebadat Is Say,
Ujray Hue Abad Nager Kar Dena,

Khud He Wo Samjh Jayen Gay Agay Sab Kuch,
Bus Un Ki Hazoor Ankh Ko Taar Kar Dena,

Bhoola Nahi Mujh Say Wo Jhager Kar Tera,
Seenay Pe Meri Raat Basar Kar Dena,

Haq Teri Sana Ka Jo Aada Kar Na Sakon,
Aibon Say Mere Sirf Nazar Kar Dena,

Ho Habs Tu Sawwan Ki Hawa Ban Jana,
Gar Zulmat-E-Shab Ho Tu Seher Kar Dena,

Bhoola Nahi Ab Tak Wo Nazar Se Choo Kar,
Pathron Ko Tera Laal-O-Geher Kar Dena.

Gazal

Kabhi Ansoo Chupa Chupa K Roye,
Kabhi Dastan-E-Gham Suna Suna K Roye,

Raat Katti Hai Intezar-E-Yaar Main,
Ham Raat Bhar Taron Ko Jaga Jaga K Roye,

Phir Wo Nahi Aye Raat Ka Wada Kar K,
Ham Tamam Raat Shama Jala Jala K Roye,

Aj Raat Un K Anay Ki Umeed Thin Hamain,
Wo Nahi Aye Ham Ghar Ko Saja Saja K Roye,

Suna Hai Dua Say Hoti Hai Murad Pori,
Ham Saari Raat Haath Utha Utha K Roye.

Main Nay Iss Taur Say Chaha Tujhe Aksar Jaana

Main Nay Iss Taur Say Chaha Tujhe Aksar Jaana,

Jaisay Mehtab Ko Be Ant Samandar Chahe,
Jaisay Suraj Ki Kiran Seep K Dil Main Utray,
Jaisay Khushbo Ko Hawa,
Jaisay Pather K Kalejay Say Kiran Phutti Hai,
Jaisay Ghunche Khile Mausam Say Hina Mangte Hain,
Jaisay Khuwabon Main Khayalon Ki Kaman Tutti Hai,
Jaisay Barish Ki Dua Aabla Paa Mangte Hain,
Mera Her Khuwab Mere Sach Ki Gawahe De Ga,
Wasat-E-Deed Nay Tujh Say Teri Khuwahish Ki Hai,
Meri Sochon Main Kabhi Deakh Sarapa Apna,
Main Nay Duniya Say Alag Teri Parastish Ki Hai,
Khuwahish-E-Deed Ka Mausam Kabhi Dhundla Jo Hua,
Nauch Dalin Hain Zamano Ki Naqaben Main Nay,
Teri Palkon Say Utarti Hui Subhon K Liye,
Toor Dalin Hain Sitaron Ki Tanabain Main Nay,
Main Nay Chaha K Tere Husan Ki Gulzar Fiza,
Meri Ghazlon Ki Kitaron Say Dehkti Jaye,
Main Nay Chaha K Mere Fun Ki Gulistan Ki Baahar,
Teri Ankhon K Gulabon Say Mehkti Jaye,
Tae Tu Ya Hua Tha K Sajata Rahe Lafzon K Kanwal,
Mere Khamosh Khayalon Main Takalum Tera,
Raqs Karta Rahe Phirta Rahe Khushbo Ka Khumar,
Meri Khuwahish K Jaziron Main Tabasum Tera,
Tu Mager Ajnabi Mahol Ki Paruradh Kiran,
Main Bhujti Hui Raton Ko Sehar Na Kar Saki,
Teri Sanson Main Maseehai Thi Lekin Tu Bhi,
Chara Zakham Gham Deeda Na Kar Saki,
Tujh Ko Ehsas He Kab Tha K Kisi Dard Ka Dagh,
Ankh Say Dil Main Utar Jaye Tu Kya Hota Hai,
Tu K Seemab Tabiyat Hai Tujhe Kya Maloom,
Mausam-E-Hijar Thehar Jaye Tu Kya Hota Hai,
Tu Nay Us Morr Pay Tora Hai Taluq K Janha,
Deakh Sakta Nahi KoiPalat Kar Jaana,
Ab Ya Alam Hai K Ankhain Jo Khulain Gi Apni,
Yaad Aye Ga Teri Deed Ka Manzar Jaana,
Mujh Say Mange Ga Tera Ehad-E-Mohabbat Ka Hisab,
Tere Hijran Ka Deakhta Hua Mehshar Jaana,
Youn Mere Dil K Brabar Tera Gham Aya Hai,
Jaisay Sheshe K Mukabil Koi Pather Jaana,

Jaisay Mehtab Ko Be Ant Samandar Chahe,
Main Nay Iss Taur Say Chaha Hai Tujhe Aksar Jaanaa…!!!

Aye Kaash K Aisa Ho Jaye

Phir Meethi Pyar Ki Baatain Hon,
Behs-O-Takrar Ki Baatain Hon,
Jab Janay Ki Wo Baat Kare,
Ek Daam Say Barish Aa Jaye,
Youn Aur Wo Kuch Pal Sath Rahe,
Koi Baat Sunay Koi Baat Kahe,
Barish Ruknay Ki Koi Aas Na Ho,
Din Dhalnay Ka Ehsas Na Ho,
Youn Baaton Main Wo Khoo Jaye,

Aye Kaash K Aisa Ho Jaye…!

Mana Lon Tujh Ko

Dil Tu Kehta Hai Zamanay Say Chupa Lon Tujh Ko,
Dil Ki Dharkan Ki Tarha Dil Main Basa Lon Tujh Ko,

Koi Ehsas Judai Ka Na Rehnay Paye,
Iss Tarha Khudh Main Mere Dost Chupa Lon Tujh Ko,

Tu Jo Rothe Mujh Say Mere Dil K Malik,
Sari Duniya Say Khafa Ho Kar Mana Lon Tujh Ko,

Jab Bhi Deakhon Tere Chehre Pay Udaasi Ka Sama,
Bas Ya Chahon Kisi Tarha Hasa Lon Tujh Ko..!

Gazal

Wo Aana Parast Sahi Uss Ki Baaton Main Iqrar Bhi Tha,
Uss K Chubhte Huwe Lehjay Main Chupa Pyar Bhi Tha,

Wo Mujhe Likhta Hai K Muntazir Na Rahon Lekin,
Uss Ki Tehreer Main Sadiyon Ka Intezar Bhi Tha,

Wo Kehta Hai Mat Rootho K Manana Nahi Ata,
Meri Naraazgi Per Lekin Wo Beqarar Bhi Tha,

Main Shayad Phir Na Likhta Usay Apni Khabar Lekin,
Pyar Ka Bharam Rakhna Tha Kuch Dil Beikhtiyar Bhi Tha..!!

Tum Sirf Mere Ho

Raat K Kisi Lamhe Jab Tumhari Yaad Aye,
Tu Batao Mujh Ko Main Kia Karon?
Tumhain Meethi Neend Say Jaga Don?
Ya Tumhare Seenay Pe Sar Rakh Don?
Tumhari Baand Aankhon Ko Kholon?
Aur Un Main Saama Jaon,
Ya Tumhain Bina Aankhain Jhapkaye Dekhta Jaon?
Ke Kahin Ya Khuwab Toot Na Jayen,
Ke Tumhara Saath Choot Na Jaye,
Suno
Mujhe Tumhare Saath Guzara Ek Lamha Bhi,
Bhulana Gawara Nahi,
Suno
Utho Aur Ek Baar Mujhe Aankh Bhar Ke Deakho,
Aur Mujh Ko Kaho Ke Tum Sirf Mere Ho.

Gazal

Buhat Umeed Rakhna Aur Phir Be'aas Hona Bhi,
Bashar Ko Maar Deta Hai Buhat Hassas Hona Bhi,

Suno Ek Kaan Say Aur Dosre Say Paink Do Bahir,
Buhat Takleef Deh Hai Sahib-E-Ehsaas Hona Bhi,

Youn He Tu Abar-E-Rehmat Ki Talab Karta Nahi Koi,
Zarori Hai Muqaddar Main Zara Si Pyas Hona Bhi,

Buhat Say Qalb Ruk Jate Hain Khushiyon Ki Khabar Paa Kar,
Hamain Tu Khoob Jachta Hai Ghamon Ka Raas Hona Bhi.

Aik Shair

Tumhari Yaad Bhi Mohsin Kisi Muflis Ki Poonji Hai,
Jisay Hum Saath Rakhte Hain, Jisay Ham Rooz Gintay Hain.

Theek Nahi

Tanha Ghar Say Bahir Jana Theek Nahi,
Tum Masoom Ho Aur Zamana Theek Nahi,

Saaf Dilon Ko Phir Say Meela Kar Dain Gi,
Guzri Baaton Ko Duhrana Theek Nahi,

Aisi Cheezain Door Say Achi Lagti Hain,
Chand Ko Apnay Pass Bulana Theek Nahi,

Aao Mere Haath Pe Apna Haath Rakho,
Saail Ko Khali Haath Loutana Theek Nahi,

Raafta Raafta Tabeerain Beh Jaati Hain,
Num Aankhon Main Khuwab Sajana Theek Nahi.

Saturday, December 4, 2010

Mohabbat Hamsafar Meri

Wohe BeSimt Sa Rasta Mohabbat Hamsafar Meri,
Sarabon Ka Wohe Dhoka Mohabbat Hamsafar Meri,

Yanhan Haad-E-Nazar Tak Bus Andhere He Andhere Hain,
Na Wo Jugno Na Wo Tara Mohabbat Hamsafar Meri.

Aik Shair

Kisi Ke Zarf Say Barh Kar Na Kar Rasm-E-Wafa Hargiz,
Ke Is Bejaa Sharafat Say Bara Nuqsaan Hota Hai.

Tum Nay Kaha Tha

Lout K Aye Gi Mohabbat Ki Sham Tum Nay Kaha Tha,
Ya Zindagi Hui Tere Naam Tum Nay Kaha Tha,

Iss Aas Pe Gir Jata Hon Main Aksar,
Main Lon Ga Tujhe Thaam Tum Nay Kaha Tha,

Teri Judai Teri Yaadon Nay Maar Dala Hai,
Meri Mohabbat Le Gi Inteqam Tum Nay Kaha Tha,

Her Zubaan Pe Hain Qisay Meri Deewangi Ke,
Itna Na Chaho Mujhe Ho Jao Gay Badnaam Tum Nay Kaha Tha,

Jo Dil Pe Chott Khaye Aur Phir Bhi Muskuraye,
Mohabbat Use Karti Hai Salam Tum Nay Kaha Tha.

Aaj Phir

Ek Aanso Toot Ke Gira Hai Tere Liye Aj Phir,
Kuch Yaadain Toot Kar Barsi Hain Tere Liye Aj Phir,

In Ankhon Main Basa Hai Sirf Ek Tera He Chehra,
Tujhe Dua Ki Surat Khuda Say Manga Hai Aj Phir,

Youn Tu Roz He Yaad Karta Hon Tujhe Her Pal,
Per Dil Ne Toot Ke Chaha Hai Tujhe Aj Phir,

Dil Hai Kincha He Jata Hai Teri Orrh,
Teri Yaadon Ne Buhat Rulaya Hai Aj Phir.

Dar Jata Hon

Wussat-E-Dasht-E-Hijar Deakh Ke Dar Jata Hon,
Tujh Say Agay Ka Safar Deakh Ke Dar Jata Hon,

Roz Dhalte Hue Suraj Ki Tarha Sham Gaye,
Main Bhi Ek Dard K Dariya Main Utar Jata Hon,

Wo Bhi Chup Chup Si Kahin Baith Ke Roti Ho Gi,
Main Bhi Raaton Ko Zara Dair Say Ghar Jata Hon,

Main Ne Bhi Jurm-E-Baghawat Ke Sitam Jhile Hain,
Main Bhi Ab Log Jidher Jayen Udher Jata Hon,

Chal Para Hon Main Zamanay Ke Asolon Pe,
Main Bhi Ab Apni Baton Say Mukar Jata Hon.

Mohabbat Aur Hoti Hai

Aqeedat Aur Hoti Murawwat Aur Hoti Hai,
Mohabbat Jis Ko Kehtay Hain Wo Naimat Aur Hoti Hai,

Qayamat Khez Manzar Tu Hazaron Ham Ne Deakhe Hain,
Jo Dil Pe Totti Hai Wo Qaymat Aur Hoti Hai,

Maheenon Bad Milnay Ki Khushi Apni Jagha Lakin,
Wo Zalim Jab Bicharta Hai Tu Halat Aur Hoti Hai.

Chala Gaya

Sari Neendain Ura Kar Chala Gaya,
Mujh Say He Mujh Ko Chura Kar Chala Gaya,

Mohabbat Ki Inteha Kuch Is Tarha Ki Us Nay,
Apni Khushbo Mere Jism Main Chupa Kar Chala Gaya,

Ek Pal Ko Hansanay Aya Tha,
Her Pal Ke Liye Rula Kar Chala Gaya,

Keh Kar Gaya Tha Main Abhi Lout Aoun Ga,
Kitnay Pyar Say Behla Kar Chala Gaya.

Aik Shair

Youn Palkain Jhuka Dene Say Neend Nahi Ati,
Soote Wohe Log Hain Jin Ke Liye Koi Jaag Raha Ho.

Aik Shair

Apni Halat Ka Bhi Ahsas Nahin Hai Mujh Ko,
Main Ne Oron Se Suna Hai Ke Pareshan Hon Main.